Frisium 5 Mg
UpdatedDear sir. I dont know english. Isiliye hindi me likh raha hu. Mera beta jab 8 month ka tha tab usko pahli bar atteck aaya tha tab dr. Ne bola tha jab bhi usko bukhar hoga tab usko frisiyum 5 half tab morning and half tab evening me dena. Abhi uski age 5 year hai abhi tak usko 4 times atteck aaya hai. uska mind normal nahi hai abhi bhi wo baki bacho se 2 saal pishe chal raha hai aur wo bahut chid chid karta hai aur jiddi bhi bahut hai. sir mera beta normal ho jayega? sir is bimari ka kitna nuksan ho sakta hai usko agar aur bhi atteck aate rahe to? sir hame advise dijiye hame kya karna chahiye.
1 Reply
Dear Bunty,
Main ek professional doctor to nahi huan lekin main ek patient he huan and last 12 years se daily Frisium 5 mg le raha huan. Meri aap se ek vinti hai ki, aap uske pani aur khane ka aache le dyan rakhen, kyon ki Frisium ke bajeh se Lever, Kidney per bahut negative effects padte hain. Uska jo behaviour hai wo Frisium ke bajeh se he hai. Aap ho sake to khali pat usko Ambla ka juice ya phir Pyaaj (Onion) ka juice ya phir Lasun (Garlic) ke do teen cloves/tukde gharam pani main boil karke pelana ya tulsi ke 4-5 paate gharam paani main dalke pelana. Ye sab cheej aap subah khali pet karna to jyada helpful rahegi. Jab bhi seizure / attack ho to Pyaaj ke chilke sugan dena, ya phir ek glass pani main neebu, saakar aur namak ka ghol bana kar pila dena. Ye amrit ke saman kaam karega. Aap kahin travel kar rahe ho to aapne sath ek Electral Powder rakh ne ka, aur kabhi dikt ho to thoda sa uska paani main ghol kar pela dena ya phir chata dena. Yah bahut helpful rahega. Fever ke time per ye isliye aata hai kyon ki Dehydration ho jata hai jiski bajah se body ka "Blood Sugar Level" kam ho jata hai. Jiski bajeh se seizures aata hai. To aap fever ke time per neebu pani (Neebu, Sakkar aur namak) pilate rahana. Agar neebu nahi dal sako to kamse kam Sakkar aur Namak ka ghol pila dena. Raat ko sone ke samay Bramhi tail, Castor oil / Aarandi tail laga dena. Yah bahut help karega.
Abhi uski age ke hisab se jitna ho saake Frisium kaam se kaam he rakhna. Kabhi agar dosari tablet start karni ho to isko ek daam se baand mat karna... dheere dheere band karna nahi to Seizures badhe jayange (jyada aane lag gayege).
Main bahut saare Epilepsy ke forms main involved huan. Aur Ph.D kar raha huan aur iski ek book bhi likh raha huan.
More Discussions:
Hi! I am (32 tears) suffering from seizures. Now I am taking Encorate Chrono 500mg along with Frisium 10 mg after the di...
2 REPLIESmy friend taken frisium by accident 10mg tablet 10nos. That means 100mg as single dosage. We admitted in the hospital. A...
3 REPLIESI am taking about my father.he is 53 year old. he is having a tablet for 2.5 yr. actually he got a two time attack after...
1 REPLYSir, meri daughter 2.5 yrs old hai. use 3 times convrsion (fit ) ka attack aaya tha, jab use first time attack aaya tha ...
1 REPLYhi i am namrata and i am 23 years old and have the problem of partial epilepsy. i was on oxetol 300 mg earlier around 4 ...
5 REPLIESMy son(28) has been having the medicines of epilepsy since March,2009.Recently doctor has prescribed Fludac10 for first1...
ive been taking citalopram hbr 20 for about 6 week now. i have been having pain in both my legs thru out the day and nig...
5 REPLIESi no there is a difference in mgs. for all meds in different forms . i would like to know how many mgs. of morphine in a...
3 REPLIESMy daughter 28 has ear infection. Also a hole in eardrum. Dr prescribed 20mg Pulmison 1 per day and Zelitrex 500mg every...
2 REPLIESFound a package of oblong bright orange tables, bubble wrapped not scored and with no markings. Claims to be percocet. #...
2 REPLIES